Daant ka darad khatam karna
Ager daant main darad ho to paanch adad clove daanton ke dermiyaan rakh lain aur baar baar jo resha aaye use thooktay jaen daant ka darad door ho jae ga.
Daanton ka mail door karna
Is ke lye namak aag main jala ker bareek pees lain is main chand drops kalonji aur serson ke oil ke mix ker lain aur is ko daanton per malain.
Daanton se khon aana(bleeding gums)
Is maslay ke liye anar ke phole le ker baareek pees lain is main namak mila ker manjan bana lain is ko rozana daanton per lagaen.
Daant chamkana
Lemon ka ras nikaal ker tooth brush is main dip ker ke rozana daant saaf karain daant motiyon ki terhan chamaknay lagain ge.
Mass khora
Ye merz us waqat hota he jab ziada waqat pait khali rahe lehaza apnay pait ko baaran ghanton se ziada khali na rakhain.
Daanton ke keeray khatam karna
Chambeli ke pattay pani main boil ker lain is ko nithaar lain aur rozana is neem garam pani se kulli karain daanton ke keeray khatam ho jaen ge.
Daanton ka hilna rokna
Is ke liye serson ki khali ko pani main obaal lain jab neem garam reh jae to is pani se kulliyaan karain.
Masoron ki sojan
Is ke liye kalonji aur clove ka oil aik aik drop mila ker lagaen.
No comments:
Post a Comment